Do Naina Rite Rite Lyrics

"Do Naina Rite Rite" lyrics from Sampoorna Ramayana sung by mahendra kapoor and music directed by vasant desai and composed by vasant desai and lyrics written by bharat vyas

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Do Naina Rite Rite Lyrics


Site site site aaj tumhe dekhe
Bin do naina rite rite site site
Ye jal thal hai daso dishao
Hey upvan hey variksh latao
Mujhe priya ka pata bato
Kaha chupi hai siya dikhao
Pran bina ab is jivan ke
Kaise pal bite bite
Site site site

Phata hariday vanvasi ram ka
Karuna se bhar gaya gala
Udhar lankpati gagan marag se
Le sita ko sang chala
Avsar pakar us viman se
Sita niche kud padi
Sita niche kud padi
Pankho par le use jhatayu
Pankho par le use jhatayu
Utra niche usi ghadi
Sita ke hit ram das ka raha data
Kintu jhatayu ka
Talwar se pankh kata
Dharti par behosh jatayu
Aaye ram jhatayu jinko
Bula raha man man me
Kaha jhatayu ne hey raghuvar
Ghatna hai ghanghor
Anyayika naam hai ravan
Uda hai dakshin aur
Hey ram hey ram

Phir sita ko chale dhundne
Ram lakhan do bhayi
Pichhe se rakshasa bandh
Ne chhupkar aankh lagayi
Hatho me lekar lakashhman ko
Usne turant uchhal diya
Jise dekh bhagwan ram ne
Us papi ka pran liya
Nil gagan me lakshhman ko
Usne chakkar me dala
Ram bhakat var hanuman ne
Aakar unhe sambhala

Hanuman ye yug yug ke
Ram charan ke das
Aaye pas bhujane apni
Janam janam ki pyas
Hey ram shri ram hey ram
Kandho par le ram lakhan ko
Hij parwat par aaya
Bali se dukhiyare
Is sugriv se mail karaya
Hanuman ke karan phir
Sugriv ka kalyan huya
Hanuman ke karan phir
Sugriv ka kalyan huya
Ek ban se variksh gire
Tab bali ka balidan huya
Bali ka balidan huya
Shri ramchandar ki jai
Phir parasthan kiya sabne
Aur mahima ram ki jani
Hanuman ne magi ram se
Unki ek nishani parbhu
Ram ne apni anguthi
Dekar ki agvani

Udo udo bajrang bali
Ma sita tumhe pukare
Ma sita tumhe pukare
Ma sita tumhe pukare
Ma sita tumhe pukare
Ma sita tumhe pukare
Ma sita tumhe pukare.

More songs lyrics from Sampoorna Ramayana.