Dil Se Hain Shehzaade Hum Lyrics

"Dil Se Hain Shehzaade Hum" lyrics from Lalten sung by hemanta kumar mukhopadhyay and music directed by hemanta kumar mukhopadhyay and composed by hemanta kumar mukhopadhyay and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Music Director(s):

Dil Se Hain Shehzaade Hum Lyrics


Dil se hain shehzaade ham
Hai soorat bhale mawaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki
Dil se hain shehzaade ham
Hai soorat bhale mawaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki

Nahin pakaane waali ghar mein
Reh jaata dil machal machal
Nahin pakaane waali ghar mein
Reh jaata dil machal machal
Apne dam par hi to pyaare
Shahar ke chalte hain hotel
Shahar ke chalte hain hotel
Chuka na paaye bill to samjho
Kholi hamne khaali ki
Chuka na paaye bill to samjho
Kholi hamne khaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki
Dil se hain shehzaade ham
Hai soorat bhale mawaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki

Sapnon ka ik mahal hai apna
Mahal mein dil ki raani hai
Sapnon ka ik mahal hai apna
Mahal mein dil ki raani hai
Waise to ye basti gandi
Chaali bahut puraani hai
Chaali bahut puraani hai
Dadagiri bhale kahe koi
Hamne to rakhwaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki
Dil se hain shehzaade ham
Hai soorat bhale mawaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki

Ham ne koi hamdard na paaya
Aur na kisi ka pyaar mila
Bhatak gaye ham raahon se jab
Khula na koi dwaar mila
Aankh khuli to pataa chala
Ye dagar to hai kotwaali ki
Aankh khuli to pataa chala
Ye dagar to hai kotwaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki
Dil se hain shehzaade ham
Hai soorat bhale mawaali ki
Khaali pocket rakhte hain
Par photo geeta bali ki.

More songs lyrics from Lalten.