Dil Ki Duniya Basa Ke Lyrics

"Dil Ki Duniya Basa Ke" lyrics from Amar Deep sung by lata mangeshkar and music directed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and composed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):

Dil Ki Duniya Basa Ke Lyrics


Dil ki duniya basa ke saawariya
Dil ki duniya basa ke saawariya
Tum naa janey kaha
Kho gaye kho gaye
Saath rehna tha sari umariya
Dur najaro se kyo
Ho gaye ho gaye

Janey wale
Janey wale pata tera maine
Aati jati baharo se pocha
Janey wale pata tera maine
Aati jati baharo se pocha
Chup rahe jab jamin ke najare
Asman ke sitaro se pucha
Chup rahe jab jamin ke najare
Asman ke sitaro se pucha
Sun ke badal bhi meri kahani
Sun ke badal bhi meri kahani
Bebasi par meri ro gaye ro gaye
Dil ki duniya

Hans raha hai
Hans raha hai yeh zalim zamana
Apni khushiyo ki mehfil sajaye
Hans raha hai yeh zalim zamana
Apni khushiyo ki mehfil sajaye
Mai akeli magar ro rahi hu
Teri yado ko dil se lagaye
Mai akeli magar ro rahi hu
Teri yado ko dil se lagaye
Bahate bahate yeh ansu bhi hare
Bahate bahate yeh ansu bhi hare
Ake palako pe so gaye so gaye
Dil ki duniya.

More songs lyrics from Amar Deep.