Dil Ka Taraana Gaa Le Lyrics

"Dil Ka Taraana Gaa Le" lyrics from Society sung by geeta ghosh roy chowdhuri (geeta dutt) and music directed by sachin dev burman and composed by sachin dev burman and lyrics written by sahir ludhianvi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Dil Ka Taraana Gaa Le Lyrics


Dil ka taraana gaa le
Soch na kar matwaale
Dil ka taraana gaa le
Soch na kar matwaale
Ye zindagaani
Ye naujawaani
Ye shaadmaani
Phir kaha phir kaha
Phir kaha

Saare jahannum
Saare bahishtey
Jhoothe bahaane hain
Pehlu ki jannat
Zindaa haqeeqat
Baaki fasaane hain
Ye zindagaani
Ye naujawaani
Ye shaadmaani
Phir kaha phir kaha
Phir kaha

Ye mast raatein
Ghoome baraatein
Jaa ke na aayengi ee
In mehfilon ki
In dilbaron ki
Yaadein sataayengi
Ye zindagaani
Ye naujawaani
Ye shaadmaani
Phir kaha phir kaha
Phir kaha

Sar pe achal hai
Marna atal hai
Marne se pehle jee ee
Lehron pe gaa ke
Duniya pe chhaa ke
Masti ke saagar pee
Ye zindagaani
Ye naujawaani
Ye shaadmaani
Phir kaha phir kaha
Phir kaha haaye
Dil ka taraana gaa le
Soch na kar matwaale
Ye zindagaani
Ye naujawaani
Ye shaadmaani
Phir kaha phir kaha
Phir kaha.

More songs lyrics from Society.