Dil Ka Bharosa To Nahin Hai Lyrics

"Dil Ka Bharosa To Nahin Hai" lyrics from Shama sung by vijay dutt and music directed by ghulam mohammad and composed by ghulam mohammad and lyrics written by kaifi azmi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Dil Ka Bharosa To Nahin Hai Lyrics


Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Mehfil mein machal jaaye
Ab aisa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai

Kyun hat’ti nahin parde se
Betaab nigaahen
Kyun hat’ti nahin parde se
Betaab nigaahen
Parde ke udhar
Meri tamanna to nahin hai
Parde ke udhar
Meri tamanna to nahin hai

Sab husn ke kaayal hain
Magar meri tareh se
Sab husn ke kaayal hain
Magar meri tareh se
Be-dekhe kisi ne tumhen
Chaaha to nahin hai
Be-dekhe kisi ne tumhen
Chaaha to nahin hai

Kyun jhukne lagi aankhen
Chhalakne lagey saagar
Kyun jhukne lagi aankhen
Chhalakne lagey saagar
Maikhaane ke baahar
Koi pyaasa to nahin hai
Maikhaane ke baahar
Koi pyaasa to nahin hai

Aa jaao ke hum apna jahaan
Aap basaa len
Aa jaao ke hum apna jahaan
Aap basaa len
Duniya ye
Kisi kaam ki duniya to nahin hai
Duniya ye
Kisi kaam ki duniya to nahin hai

Farmaane lagey dekh ke wo
Dil ka tadapnaa
Farmaane lagey dekh ke wo
Dil ka tadapnaa
Hai dard
Magar itna ziyaada to nahin hai
Hai dard
Magar itna ziyaada to nahin hai

Parwaana ghazal aaj teri
Kar gayi jaadu
Parwaana ghazal aaj teri
Kar gayi jaadu
Ye faiz usi mast nazar ka to nahin hai
Ye faiz usi mast nazar ka to nahin hai

Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Mehfil mein machal jaaye
Ab aisa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai.

More songs lyrics from Shama.