Dhanya Dhanya Hai Lyrics

"Dhanya Dhanya Hai" lyrics from Ram Vivah sung by geeta ghosh roy chowdhuri (geeta dutt), prabodh chandra dey (manna dey) and music directed by shankar rao vyas and composed by shankar rao vyas and lyrics written by moti b. a.

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Dhanya Dhanya Hai Lyrics


Dhanya dhanya hai avadhpuri
Dhanya waha ki phoolwari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari

Avadhpuri ke uttar disha
Dariyo ki dhara behti hai
Raja dashrath raj kare aur
Praja chain se rahti hai
Praja chain se rahti hai

Ann dhan se bhar pur ayodhya
Teen lok se hai nyari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari

Chham chham karti chali kamini
Hai solah singar kiye
Aankho mein sansar liye
Hatho mein sundar har liye
Satvanti hai sabhi nariya
Sat par apne balihari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari

Ram lakhan aur bharat
Shatru ghan
Char ratan hai raja ke
Jinme sabse bade ram hai
Pran pyare parja ke
Pran pyare parja ke
Ram liye dhanwan rakshaso ke
Marne ki hai bari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari.

More songs lyrics from Ram Vivah.