Dhadka Hai Dil Mein Pyar Lyrics

"Dhadka Hai Dil Mein Pyar" lyrics from Jaal sung by lata mangeshkar and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by raja mehdi ali khan

Singer(s):
Lyricist(s):

Dhadka Hai Dil Mein Pyar Lyrics


Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi

Mahabub ki nigaah e karam kaisi chiz hai
Mahabub ki nigaah e karam kaisi chiz hai
Wo ek pal to chaand se humako aziz hai
Jo hamane unake ghar mein guzara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi

Aae hai ham sharaab e mohabbat piye huye
Aae hai ham sharaab e mohabbat piye huye
Aankho me ik khumar ki duniya liye huye
Dil mangata hai unaka sahara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitaara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi

Betabiyan raato hame ab jagayegi
Betabiyan raato hame ab jagayegi
Aaenge jab wahan se to yade bulayegi
Chahega ji ke jaaen dubara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Dhadka hai dil mein pyar tumhara abhi abhi
Chamaka hai aarzu ka sitara abhi abhi
Abhi abhi, abhi abhi, abhi abhi.

More songs lyrics from Jaal.