Dekhna Unka Kankhiyo Se Lyrics

"Dekhna Unka Kankhiyo Se" lyrics from Humsafar sung by mehdi hassan and lyrics written by farhat shehzad

Singer(s):
Lyricist(s):

Dekhna Unka Kankhiyo Se Lyrics


Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Apni aahein kam asar ka
Ham asar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen

Jo ba-zaahir hamse
Sadiyon ki musaafat par rahein
Jo ba-zaahir hamse
Sadiyon ki musaafat par rahein
Ham unhein har gaam apna
Hamsafar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen

Lamha lamha waqt ka
Sailaab chadhta hi gaya
Lamha lamha waqt ka
Sailaab chadhta hi gaya
Rafta rafta doobta hum
Apna ghar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen

Koi kya jaane ke kaise
Hum bhari barsaat mein
Koi kya jaane ke kaise
Hum bhari barsaat mein
Nazrein aatish apne hi
Dil ka nagar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen

Sun ke woh shehzad ke
Ashaar sar dhunta raha
Sun ke woh shehzad ke
Ashaar sar dhunta raha
Thaam kar hum donon
Hathon se jigar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen
Apni aahein kam asar ka
Ham asar dekha kiyen
Dekhna unka kankhiyo se
Idhar dekha kiyen.

More songs lyrics from Humsafar.