Deewana Yeh Parwana Lyrics

"Deewana Yeh Parwana" lyrics from Albela sung by lata mangeshkar, ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and music directed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and composed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and lyrics written by rajendra krishan

Lyricist(s):

Deewana Yeh Parwana Lyrics


Deewana ye parwana
Shamma pe aaya leke
Dil ka nazarana
Deewana parwana
Shamma pe aaya leke
Dil ka nazarana
Jaan jalaye sukh paaye
Jalne mein mazaa aaye
Jaan jalaye sukh paaye
Jalne mein mazaa aaye
Jalne ke dhang nirale
Samjhe kya duniya wale
Ishq tera afasana
Shamma pe aaya leke
Dil ka nazarana
Deewana parwana
Shamma pe aaya leke
Dil ka nazarana

Parwane ke pankh jalake
Shamma bhi pachhtaye
Parwane ke pankh jalake
Shamma bhi pachhtaye
Yaad mein parwane ki
Subah tak jaan jalaye
Ho khel nahi dil ka lagana
Shamma pe aaya
Leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana
Shamma pe aaya
Leke dil ka nazarana

Jalne jalane mein
Kahani hain pyar ki
Mitne mitaane mein
Jawani hain pyar ki
Pyar mein marna ho
Jeene ka bahana
Shamma pe aaya
Leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana
Shamma pe aaya
Leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana
Shamma pe aaya
Leke dil ka nazarana.

More songs lyrics from Albela.