Chiryan Da Chamba Lyrics

"Chiryan Da Chamba" lyrics from Coke Studio Pakistan – Season 8 sung by anwar maqsood, suraiya khanum and music directed by strings (band) and composed by strings (band)

Music Director(s):
Composer(s):

Chiryan Da Chamba Lyrics


Saada chiryaan da chamba
Ve baabula ve
Saada chiryaan da
Chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da
Chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba

Baaba ji aap ka khatt mila
Yun laga mere
Ghar se koyi aa gaya
Aap ka khatt mere
Haath mein hai
Aisa lag raha hai aap
Mera haath pakre hue hain
Chhorna nahin
Do din se yahaan
Baarishen ho rahi hain
Aur main ghar main
Baithi hui hun
Apne ghar mein baarish
Mein kitna nahaati thi
Amma daandti thi mujhe
Aur mazaa aata tha
Aasmaan ki taraf
Dekh kar kehti thi
Allah saahab aur baarish bhejo
Yaad hai abba ji ek din
Bohat baarish ho rahi thi
Aap ko mujhe schul chhodna tha
Aapke saaikal ke
Pahiyye ki hawa nikal gayi
Woh maine nikaali thi
Schul naheen gai aur
Baarish mein nahaati rahi
Bhai hamesha mujh se lar kar
Mujhe ghar men le jaata tha
Aur main roti hui aa kar
Aap se lipat jaaya kartithi
Baaba ji yahaan koyi
Mujh se larta hi naheen

Bohat khaamoshi hai
Main to aap ki laadli thi
Phir mujhe itni dur
Kyun bhej diya
Amma kaisi hai?
Kis ko daant’ti hai?
Chidiyon se baaten
Kaun karta hai?
Bakriyon ko chaara
Kaun daalta hai?
Tumhaari pagdi mein
Kalaf kaun lagaata hai
Bohat kuchh likhna
Chaahti hun baabu ji
Likkha nahin ja raha
Tum sab bohat yaad aate ho
Tumhaari laadli

Baithi janj buha mal ke
Baithi janj buha mal ke
Honaa main pardesan bhalke
Ghar diyaan kunjiyaan
Saambh le maa ni tu
Ghar diyaan kunjiyaan
Saambh le maa
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiriyaan da chamba

Baaba ji naaraaz ho
Agar naheen ho to
Phir apni laadli ko
Khatt kyun naheen likkha
Bohat saari baaten
Tumhein bataani hain
Amma se kahne apni hari chaadar
Talaash karna chhod de
Woh main ne chupke se
Apne bakse men rakh li
Jab amma ki yaad aati hai
Main woh chaadar sungh leti hun
Aur yun lagta hai main
Amma ki baanhon mein hun
Tumne jo qalam bhaai ke
Paas hone pe usko diya tha
Woh bhi main le aayi
Ab bhaai qalam dhundega
To mujhe yaad kare ga
Tumhaari tuti hui ainak
Bhi apne saath le aayi
Saara din sheeshe jodne
Ki koshish karti rahti hun
Aur tum saamne baithe rahte ho
Baaba ji inhi baaton se
To mera din kat jaata hai
Baaba ji maine kal raat
Main ne ik khawab dekha
Tum amma bhaai
Sahn mein baithe
Bohat khush nazar aaye
Baba ji magar main
Udaas ho gayi
Aam ke ped pe jo
Mera jhula tha naa
Woh nazar naheen aaya
Tum logon ne aisa
Kyun kiya use dalwa do
Main ab bhi ussi
Jhule par baithti hun
Aur kacche aam tod
Ke khaane lagti hun
Tum ne achchha naheen
Kiya baaba ji
Tumhaari laadli

Ambri baabal veer paye takde
Ambri baabal veer paye takde
Likhiyaan nu oh mor naa sakde
Tutt gaye saare ajj maan mere
Tutt gaye saare ajj maan mere
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chidiyan da chamba
Ve baabula ve..
Saada chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba
Chidiyan da chamba.

More songs lyrics from Coke Studio Pakistan – Season 8.