Chhote Chhote Tamashe Lyrics

"Chhote Chhote Tamashe" lyrics from Sanam Re sung by shaan and music directed by jeet ganguly and composed by jeet ganguly and lyrics written by manoj muntashir

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Chhote Chhote Tamashe Lyrics


Chhote chhote tamashe
Jaise paani batashe
Hathon se naa jaane de

Haule haule jharoke chal khole khushi ke
Thodi hawa to aane de
Dabe dabe paanv zara chale aao
Ye pal milenge kahan

Ye zindagi hai aur kya
Ik chutkula hansde zara
Khafa khafa kyun hai tu

Chhote chhote tamashe
Jaise paani batashe
Hathon se naa jaane de

Haule haule jharoke chal khole khushi ke
Thodi hawa to aane de

Thodi thodi zora zori
Thodi thodi chori shori karlein
Bholi bhali pyari pyari
Yaadein saari jholi mein aa bharlein

Thodi thodi zora zori
Thodi thodi chori shori karlein
Bholi bhali pyari pyari
Yaadein saari jholi mein aa bharlein

Ye zindagi hai aur kya
Ik chutkula hansde zara
Khafa khafa kyun hai tu

Chhote chhote tamashe
Jaise paani batashe
Hathon se naa jaane de

Haule haule jharoke chal khole khushi ke
Thodi hawa to aane de

Khatte meethe aamon jaise
Pedon se aa lamhe saare todein
Resha resha dhaaga dhaaga
Dilon ki ye moti maala jodein

Khatte meethe aamon jaise
Pedon se aa lamhe saare todein
Resha resha dhaaga dhaaga
Dilon ki ye moti maala jodein

Ye zindagi hai aur kya
Ik chutkula hansde zara
Khafa khafa kyun hai tu

Chhote chhote tamashe
Jaise paani batashe
Hathon se naa jaane de

Haule haule jharoke chal khole khushi ke
Thodi hawa to aane de.

More songs lyrics from Sanam Re.