Chane Zor Garam Baabu Lyrics

"Chane Zor Garam Baabu" lyrics from Bandhan sung by arun kumar and music directed by saraswati devi and composed by saraswati devi and lyrics written by ramchandra baryanji dwivedi (kavi pradeep)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Chane Zor Garam Baabu Lyrics


Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam

Mere chane hai
Chatpate bhaiya
Aur bade lasani
Aur kaise chav se khate dekho
Raam aur ramjani
Aur chunnu munnu ki jaban bhi
Ho gai pani pani
Aur kahe kabir
Suno bhai sadho
Suno guru ki bani

Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam

Are madarse ka jeevan
To chand dino ka thath
Aur padh likh kar
Sab chal doge
Tum apni apni bat
Phir koi tum mein hoga afasar
Koi gavarnar lat
Tab main aaunga daftar tumare
Main aaungaa daftar
Tumare liye chane ki chat

Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam

Mera chana bana hai aala
Jisme dala garam masala
Chakhte jana ji tum lala
Aisa hu main dilli wala
Inka swad hai bada nirala
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam

Aai chane ki bahar
Khate jana tum sarkar
Mere chane jayakedar
Agar tumko na hoye etabar
To main bhi kahta hoon lalkar
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam

Dekh lo mera ye darbar
Jaha par khade silsilewar
Riyasat bhar ke sab sardar
Ek se ek sabhi husiyar
Ek se ek sabhi husiyar
Ye dekho mere subedar
Ye dekho mera tahasildar
Yahi hai mere thanedar
Ek se ek sabhi husiyar

Aur ye bade sipahasalar
Banar sena ke sardar
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam
Chane zor garam babu
Main laya mazedar
Chane zor garam.

More songs lyrics from Bandhan.