Chandi Ke Chand Tukdon Ke Liye Lyrics

"Chandi Ke Chand Tukdon Ke Liye" lyrics from Satta Bazaar sung by hemanta kumar mukhopadhyay and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by gulshan bawra (gulshan kumar mehta)


Chandi Ke Chand Tukdon Ke Liye Lyrics


Chandi ke chand tukdon ke liye
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai
Masjid mein khuda aur mandir mein
Bhagwaan ko bechaa jaata hai
Bhagwaan ko bechaa jaata hai
Chandi ke chand tukdon ke liye
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai

Kya aisi bhi kuchh kaliyaan hain
Jo na bole na munh khole
Kya aisi bhi kuchh kaliyaan hain
Jo na bole na munh khole
Daulat ke tarazu mein in ko
Khud bechne waale hi tole
Saiyaadon ki is basti mein
Anjaan ko bechaa jaata hai
Anjaan ko bechaa jaata hai
Chandi ke chand tukdon ke liye
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai

Har cheez ka sauda hota hai
Har cheez yahaan par bikti hai
Har cheez ka sauda hota hai
Har cheez yahaan par bikti hai
Dhanwaalon ke aage nirdhan kya
Ab saari khudaayi jhukti hai
Bebas insaanon ke har ik
Armaan ko bechaa jaata hai
Armaan ko bechaa jaata hai
Chandi ke chand tukdon ke liye
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai

Ae maalik toone likkhi hai
Patthhar ke kalam se taqdeeren
Ae maalik toone likkhi hai
Patthar ke kalam se taqdeeren
Majboor mussabbir bech raha
Ye khoon e jigar ki tasweeren
Insaan ke haathon bhi ab to
Insaan ko bechaa jaata hai
Insaan ko bechaa jaata hai
Chandi ke chand tukdon ke liye
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai
Imaan ko bechaa jaata hai.

More songs lyrics from Satta Bazaar.