Chale Aana Lyrics

"Chale Aana" lyrics from De De Pyaar De sung by armaan malik and music directed by armaan malik and composed by armaan malik and lyrics written by kunaal vermaa

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Chale Aana Lyrics


Koyi kisi ke bina nahi marta
Aadat ki baat hai
Tumhari bhi chhoot jayegi
Meri bhi chhoot jayegi

Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana
Judaa hum ho gaye maana
Magar yeh jaan lo jaana

Kabhi main yaad aaun to
Chale aana, chale aana
Tumhein main bhool jaunga
Yeh baatein dil mein na lana

Kabhi main yaad aaun to
Chale aana, chale aana

Tha kaun mera, ek tu hi tha
Saanson se zyada jo zaruri tha
Tere liye main kuchh nahi lekin
Mere liye tu mera sab kuchh tha

Nahi jaana bhula karke
Yeh baatein tum hi kehte the
Rahi khushiyaan nahi meri
Ke tum bhi waqt jaise the

Yahin tak tha safar apna
Tumhein hai laut kar jaana
Kabhi main yaad aaun to
Chale aana, chale aana

Na ra, na ra hmm..
Chale aana, chale aana.

More songs lyrics from De De Pyaar De.