Brahma Lyrics

"Brahma" lyrics from Shaadi Ke Baad sung by lata mangeshkar, prabodh chandra dey (manna dey) and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):

Brahma Lyrics


Brahma o brahma deva o deva
Brahma o brahma deva o deva
Brahma o brahma deva o deva
Dede ek nari sundar si
Brahma o brahma deva o deva
Dede ek nari sundar si
Mujhe dulha bana meri shadi kara
Din raat mai tere gun gaau ga
Biwi bin to ek din
Mai kha ke zahar mar jauga

Brahma o brahma deva o deva
Dede ek nari sundar si
Hirani si chaal ho
Resham se baal ho
Resham se baal ho phulo se gaal
Dekhe hai jahan ho ke hairan
Sun o bhagwan
Chanchal ho aisi ho pariyo jaisi
Mere hone vale bacho ki amma
Brahma o brahma deva o deva
Dede ek nari sundar si
Brahma o brahma deva o deva
Brahma o brahma deva o deva

Teri vinti sunli maine sun o brahmchari
Tere liye mai le ke aaya
Ye sundar nari
Teri vinti sunli maine sun o brahmchari
Tere liye mai le ke aaya
Ye sundar nari
Ye ang sang tere dolegi
Kabhi aage se nahi bolegi
Tu dekhta hi rah jayega
Jab gori ghunghat kholegi
Khub karegi teri sewa parano se pyari
Tere liye mai le ke aaya
Ye sundar nari
Jai ho parubhu

Jab tak ji jaan hai bhagwan
Tujhko yaad karunga
Ek din me soo bar
Mai tera dhnayevad karunga
Brahma o brahma deva o deva
Brahma o brahma deva o deva

Gori o gori jara ghunghat ko khol
Jara mukh se to bol
Gori ghunghat to khol
Jara mukh se to bol
Mai hu tera gulam
Kya hai ri tera naam
Bol kya hai tera naam
Apne pritam ke sath nahi ki ek baat
Tere sir ki kasam
Aisi bhi kya sharam
Ari ha ya na jnab kuch to de jawab
Hai tu hai gungi
Chal hat chal hat

Arey o bhagwan karte ho majak
Apne bhagato se
Ye to mati ka but hai
Ise jan de de
Is bejuban ko juban de de
Muh se kuch na kahe to achi bat hai
Orat chup hi rahe to achi bat hai
Muh se kuch na kahe to achi bat hai
Orat chup hi rahe to achi bat hai

Bhagat batuni orat ke sath
Mardo ka gujara asambhav hai
Iski chinta aap mat karo parbhu
Vo chhoad do mujh par mai dekh lunga
Acha bhagat jaise tere sanjog
Ja karmo ko bhog

Hat chhoado balam mere fute karam
Hat chhoado balam mere fute karam
Kaisi shadi hui barbadi hui
Nayi sarri nayi gadi mera gajara
Mera kajara la la
Managa ? Do char
Managa sone ka haar
Managa ? Do char managa sone ka haar
Karenge pyar kal aaj hotal me chal
Sher mujhko kara koi picture dikha
Kahti khsama nu kha
Ye sab ager nahi to mujhe de de talak
Chabi ghar ki sambhal
Mai chali vapas bhopal
Mai chali vapas bhopal
Mai chali vapas bhopal

Brahma o brahma deva o deva
Kaisi ye nari sundar si
Brahma o brahma deva o deva
Kaisi ye nari sundar si
Jaan meri bacha ise tu chup kara
Din rat mai tere gun gaau ga
Gungi bhali thi juba is ki chali to
Mai kha ke zahar mar jaunga
Brahma o brahma deva o deva
Kaisi ye nari sundar si
Brahma o brahma deva o deva

Hu bhula apne brahma ko
Aaj usko bhi dekh leti hu
Dunia ka nirman to mai kar sakta hu
Khali jholi moti se bhar sakta hu
Mai tufa ko rok du
Mai barkha ko tham lu
Parantu is agani
Manad nahi mai kar sakta
Orat ka muh banad nahi mai kar skta
Orat ka muh banad nahi mai kar skta
Bachao bachao
Orat ka muh banad nahi mai kar skta.

More songs lyrics from Shaadi Ke Baad.