Bin Badal Barsaat (Title) Lyrics

"Bin Badal Barsaat (Title)" lyrics from Bin Badal Barsaat sung by asha bhosle and music directed by hemanta kumar mukhopadhyay and composed by hemanta kumar mukhopadhyay and lyrics written by shakeel badayuni

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Bin Badal Barsaat (Title) Lyrics


Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sunlo hamari baat
Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sunlo hamari baat

Khushiyo par na phulo
Gum ko tum na bhulo
Kirno mein na jhulo jhuthi hai bahar
Duniya hai ye duniya isme
Gum hai khushi ke sath
Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sunlo hamari baat

Muskao na man mein
Duboge uljhan mein
Dukh bhi hai jeevan mein
Khushiya hai bekar
Din beeta to nagin banke
Aayegi kali raat
Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sunlo hamari baat

Sapna hai fir sapna
Chodo ye rang apna
Ummide na rakhna hogi isme har
Bich dagar pe lut jayegi
Sapno ki barat
Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sun lo hamari baat
Bin badal barsat na hogi
O nadano o deewano
Sun lo hamari baat.

More songs lyrics from Bin Badal Barsaat.