Bewafa Yun Tera Muskaran Lyrics

"Bewafa Yun Tera Muskaran" lyrics from Haal Mera Puchhne Woh... sung by attaullah khan esakhelvi and music directed by attaullah khan esakhelvi and composed by attaullah khan esakhelvi and lyrics written by attaullah khan esakhelvi

Music Director(s):

Bewafa Yun Tera Muskaran Lyrics


Suna hai log use aankh
Bhar ke dekhte hai
So uske sheher mein
Kuchh din theher
Ke dekhte hai
Suna hai rakt hai usko
Kharaab haalo se
So apne aap ko barbaad
Karke dekhte hai
Suna hai bole toh baaton
Se phool jhadte hai
Ye baat hai toh chalo
Baat karke dekhte hai
Suna hai din ko usey
Titaliyan satati hai
Suna hai raat ko juganu
Theher ke dekhte hai

Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Main jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Maine khat likhke unko bulaya
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Maine khat likhke unko bulaya
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Aane jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Maine puchha ke
Kal sab kahaan the
Pehle sharmaaye
Phir jhalke boley
Maine puchha ke
Kal sab kahaan the
Pehle sharmaaye
Phir jhalke boley
Aap woh baat kyun
Puchhatey hai
Aap woh baat kyun
Puchhatey hai jo
Batane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Jaante hai tumhari kalaayi
Jaante hai tumhari kalaayi
Bojh uthane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Aise aashiq ko suli chadha do
Aise aashiq ko suli chadha do
Rehem khane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Main jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana.

More songs lyrics from Haal Mera Puchhne Woh....