Begunaho Ka Rang Hai Lyrics

"Begunaho Ka Rang Hai" lyrics from Johar In Kashmir sung by mohammed rafi and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Singer(s):

Begunaho Ka Rang Hai Lyrics


Begunaho ka lahu hai ye rang layega
Begunaho ka lahu hai ye rang layega
Dage daman pe na aaya to dil pe aayega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim na baksha jayega
Koi jalim na baksha jayega
Begunaho ka lahu hai ye rang layega

Hamare bhai hue hum na hue
Karbala ke sitam to kam na hue
Julm dunia me ab bhi jinda hai
Admiyat hai ke sharminda hai
Admiyat hai ke sharminda hai

Maa sahido ki ab bhi roti hai
Julm ki had bhi koi hoti hai
Hak parashto ko bina hak mara
Haye dil gum se hai para para
Haye dil gum se hai para para

Ye did ki ho hukumat ya kisi jalim ki
Har ek julm ka insaf kiya jayega
Har ek julm ka insaf kiya jayega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim ka baksha jayega
Begunaho ka rang hai ye rang layega

Jarre jarre me gujar hak ka hai
Sabki harkat pe najar rakhta hai
Nek or pakshpa nahi usse
Khuda to sab ki khabar rakhta hai
Khuda to sab ki khabar rakhta hai

Mehar pe aaye to gaffar bhi hai
Kahar pe utre to jaffar bhi hai
Yu to har din se upar hai khuda
Admiyat ka tarafdar bhi hai
Admiyat ka tarafdar bhi hai

Shole nafrat ke dilo me na tu bhadka jalim
Apni hi aag me tu aap ki jal jayega
Apni hi aag me tu aap ki jal jayega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim na baksha jayega
Begunaho ka lahu hai ye rang layega

Nahi kafi hai musalman hona
Bak nahi haki chatura hona
Allah ka pyar pane ko
Lazmi hai tera insan hona
Lazmi hai tera insan hona

Amal to sath tere ho lega
Khun to sar chad kar bolega
Khuda majhab hi na dekhega tera
Teri insaniyat bhi tolega
Teri insaniyat bhi tolega

Pyar par rakhti hai buniyad har ek majhab ki
Koi talwar pe rakhega to kya payega
Koi talwar pe rakhega to kya payega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim na baksha jayega
Begunaho ka lahu hai ye rang layega

Tune pyaso se pyale chine
Tune hotho se niwale chine
Tune shame jalai kabro par
Or makano se ujale chine
Or makano se ujale chine
Dilo me farak is kadar dale
Tune dariya bhi khun se bhar dale
Ek dharti banai allah ne
Tune tukde hazar kar dale
Tune tukde hazar kar dale

Gunah karta hai tu kiske liye soch to le
Khali hatho ki tu tanha yaha se jayega
Khali hatho ki tu tanha yaha se jayega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim na baksha jayega
Begunhao ka lahu hai ye rang layega

Ye padoshi se ladai kaisi
Sabhi bhai hai judai kaisi
Ye tabahi ki sari bate hai
Isme insan ki bhalai kaisi
Isme insan ki bhalai kaisi
Nek niyat ko tu arman karle
Admiyat ko tu iman karle
Yahi islam ki nashihat hai
Apne dil ko bhi musalman karle
Apne dil ko bhi musalman karle

Had se aage na tu badh waqt hai karle tauba
Roz samjhane ko parwesh nahi aayega
Roz samjhane ko parwesh nahi aayega
Aane wala hai din kayamat ka
Koi jalim na baksha jayega
Begunhao ka lahu hai ye rang layega
Dag daman pe na aaya to dil pe aayega.

More songs lyrics from Johar In Kashmir.