Bade Kaam Ka Bandar Lyrics

"Bade Kaam Ka Bandar" lyrics from Aankhen sung by arun bakshi, chunky pandey, govinda, kumar sanu, mohammed aziz and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Music Director(s):
Composer(s):

Bade Kaam Ka Bandar Lyrics


Meharbaan kadardaan sahibaan
Jo log chori karte hain seena jori karte hain
Topi pehan ke dhoka dete hain
Aur paisa lekar jaan lete hain
Unse toh bhala mera bandar hain
Jo apna aur apne ustaadon ka pet bharta hain
Aur chain ki zindahi basar karta hain
Toh bachha log bajaaon
Mere bandar ke naam pe taali

Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har hero ki khubi iske andar
Jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala
Jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala
Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har hero ki khubi iske andar

Taaiz bandar ke saat baal ka taaiz
Ek baal seer ka, ek eyebrow ka,
Ek moochh ka, ek daadi ka,
Ek chhati ka, ek pet ka, ek gate ka
Baaki idhar udhar ka hai
Magar bunnu munnu
Public ke dil mein sawal aata hain
Kya aata hain
Yeh taawiz kis kis kaam aata hain
Abhi batata hain
Jo ladki se sharmata hain shaadi se ghabrata hain
Joru se saamne aate hi sar jiska jhuk jaata hain
Mera yeh taawiz jawaan mard ban jaata hain
Bhook yeh jagata hain, neend yeh badhata hain
Naukri dilata hain, lottery lagata hain
Achhe numbaro se bachha paas ho jaata hain
Aata hai kitne kaam ek rupaya hain daam
Woh bhi mehangai badh jaane ki wajah se warna
Aathana tha na munnu
Jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Bade kaam ka bandar
Bade kaam ka bandar
Maare toh dharmindar
Hey naache toh jitendar
Roye toh rajendar
Gaur se dekho har hero ki khubi iske andar

Bunnu
Munnu
Humne duniya ko taawiz diya
Magar bandar ne hamare liye kya kiya
Kya kiya
Baap ne hume ghar se nikala nikala
Band kiya kismat ka tala tala
Chhin liya muh se niwala niwala
Banke baap bandar ne pala pala
Ab bolo bachho bandar
Achha ke baap achha
Bandar
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo binti meri maan lo
Tum hi meri aankhon ke taare
Tum hi ho jeene ke sahare
Haal-e-dil mera jaan lo
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo

Ghar ki khidkiyaan tumhe pukare
Dhundh rahi tumko deewaren
Kaha gayi mere ghar ki bahaaren
Izzat na neelam karo
Laut chalo ghar laadlo
Laut chalo ghar laadlo

Toda nahi tala hain daka nahi dala hain
Chori nahi ki hain mehnat se kamaya hain
Dhanda yeh jamaya hain
Mushkil se kutch paya hain
Haai haai munnu jara dhund
Toh re surr kaunsa tha re
Haa jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala
Baapu tere pyar se bhar aaya mera bhi gala
Baapu tere pyar se bhar aaya mera bhi gala
Accha hain je maan gaye warn toh cut jaata gala
Accha hain je maan gaye warn toh cut jaata gala.

More songs lyrics from Aankhen.