Bachpan Lyrics

"Bachpan" lyrics from Hunterrr sung by amit trivedi and music directed by khamosh shah and composed by khamosh shah and lyrics written by swanand kirkire

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Bachpan Lyrics


Doodh ki moochhon waala
Moot ke penchon waala
Doodh ki moochhon waala
Moot ke penchon waala
Phunsi karochon waala
Bachpan bhi tha saala
Phunsi karochon waala
Bachpan bhi tha saala

Na yaadon ke chakkar the
Na sapnon ke machchar the
Hum hi the apne shehanshah
Khud apne afsar the
Ek tu tha thoda tedha
Ek main bhi thoda medha
Aur ek tha waqt kabootar
Jo khidki pe na thehra
Chor police waala
Bachpan bhi tha saala

Tujh jaisa ban-na chaha
Tujhe jeb mein rakhna chaha
Toone door se thenga dikhaya
Kabhi hath na mere aaya
Main roya main chillaya
Tu hath na mere aaya
Doodh ki moochhon waala
Moot ke penchon waala
Luchche lafangon waala
Bachpan bhi tha saala
Gachchi pe sutton waala
Bachpan bhi tha saala

Maine sazish phir kar daali
Ungli pistol bana li
Kaani aankh se aim laga ke
Dham se goli chala di
Aur tu tapka, dhool se chipka
Rok li saansein, baj gayi taali
Woh khel be oh saale
Sab jhoot tha be oh saale
Baazi chhod ke jaane waale
Yeh beimani hai
Yeh beimani hai oh saale.

More songs lyrics from Hunterrr.