Baad Marne Ke Mere Lyrics

"Baad Marne Ke Mere" lyrics from Shagufta sung by pankaj udhas and music directed by pankaj udhas and composed by pankaj udhas

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Baad Marne Ke Mere Lyrics


Laakh toofan uthe
Aandhiya aaye jitani
Shamma jo humne
Jalayi hain jalaye rakhna
Humne jis khaak ko
Seencha hain lahoon se apne
Apne maathe pe
Wohi khaak sajaye rakhna

Baad marne ke mere
Mere watan ke logo
Mutthi bhar khaake watan
Mere kafan mein rakhna
Phool jo humne khilaye hain
Lahoon se apne
Unki khusboo koi see
Tarah chaman mein rakhna
Baad marne ke mere

Ye watan jiski jawaan
Maang sajane ke liye
Kitani behano ne suhaag
Ke balidaan diye
Jin usulo ke liye maao ne
Apne jawaan bete mushkurake
Desh ki dharti par kurbaan kiye
Un usulo ki koi aag
Badan mein rakhna
Un uulo ki koi aag
Badan mein rakhna
Baad marne ke mere
Mere watan ke logo
Mutthi bhar khaake watan
Mere kafan mein rakhna

Ye dharti hain sabki maa
Koi dukh na isse pohchaye
Nanak goutam ka ye watan ek rahe
Hum jahan mein ho na ho
Lekin duaa hain dosto
Ye mitti hain apna badan
Ye badan ek rahein
Meri kurbaani ki tum
Laaz watan mein rakhna
Meri kurbaani ki tum
Laaz watan mein rakhna
Baad marne ke mere
Mere watan ke logo

Mutthi bhar khaake watan
Mere kafan mein rakhna
Phool jo humne khilaye hain
Lahoon se apne
Unki khusboo koi see
Tarah chaman mein rakhna
Unki khusboo koi see
Tarah chaman mein rakhna
Mutthi bhar khaake watan
Mere kafan mein rakhna
Oo mutthi bhar khaake watan
Mere kafan mein rakhna.

More songs lyrics from Shagufta.