Baabul Ham Tore Angna Ki Lyrics

"Baabul Ham Tore Angna Ki" lyrics from College Girl sung by chorus, lata mangeshkar and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):

Baabul Ham Tore Angna Ki Lyrics


Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore

Bachpan beeta tere pyaar ki chhaaon mein
Bachpan beeta tere pyaar ki chhaaon mein
Leke jawaani chali jaane kis gaaon mein
Jaane kis gaaon mein
Hum to janam hi se dhan hain paraaya
Kab tak tu bhi hamein ghar pe bithaaye
Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore

Gudiyon ke khel the ya sakhiyon ka shor thha
Gudiyon ke khel the ya sakhiyon ka shor thha
Aankh micholi ka zamaana kuchh aur thha
Zamaana kuchh aur tha
Haath pakad ke mera poochhe woh gudiya
Bol chali hai kahaan ankhiyaan churaaye
Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore

Goad mein teri suni jitni kahaaniyaan
Goad mein teri sunin jitni kahaaniyaan
Dil pe rahengi ban ke teri nishaaniyaan
Teri nishaaniyaan
Leke chale hain mujhe door kahin ab
Chaar kahaar meri doliya uthaaye
Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore angana ki chidiya
Do din yahaan sau din ghar paraaye
Baabul hum tore.

More songs lyrics from College Girl.