Aye Manya Lyrics

"Aye Manya" lyrics from Shootout At Wadala sung by adnan sami and music directed by anu malik and composed by anu malik and lyrics written by rakesh kumar (kumaar)

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aye Manya Lyrics


Aye manya aye manya
Manya sun na re
Aye manya manya sun

Bhai bole bole
Bole toh peene ka
Bhai bole bole
Bole toh sala jeene ka
Aye manya manya sun na re
Aye manya manya sun

Sooni sooni kali raaton ko
Rangeen banaate chalein
Har zakhm ko hum to
Dhuyein mein udaate chalein
Tedhi medhi saari rahon
Ko apna banaate chalein
Banate chalein
Har gham ko gale se
Hum to laga ke chalein
Doobey hi rahen
Fikar nasha peene ka
Arre bhai bole bole
Bole toh sala peene ka
Aye manya manya sun na re
Aye manya manya sun

Aye manya kya bolega
Aye manya kya bolega

Jaane kaun se mod pe
Chhoote shehar apne
Lagi neend mein
Thokar toot gaye sapne
Sookhe patton ki tarah
Hawaaon mein udne lage
Jahan modh diya
Kismat ne mudhne lage
Nashe mein ghul raha hai
Dard yeh seene ka
Hey bhai bole bole
Bole toh sala peene ka
Aye manya manya sun na re
Aye manya manya sun

Hey bhai bole bole
Bole toh peene ka
Hey ra pa pa pa
Bhai bole bole bole
Toh sala jeene ka
Sala jeene ka sala jeene ka.

More songs lyrics from Shootout At Wadala.