Aye Duniya Waalon Lyrics

"Aye Duniya Waalon" lyrics from Bapu Ki Amar Kahani sung by mohammed rafi and music directed by bhagatram batish, husnlal batish and composed by bhagatram batish, husnlal batish and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Aye Duniya Waalon Lyrics


Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Jail ke andar honi ne
Phir apana teer chalaaya
Bapuji ki ardhangi ko
Ant bulawa aaya
Jail ke andar khamoshi se
Deviji ki chita jalayee
Janta apnni maa ke antim
Darshan bhi karne na payee
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahaani

Hindu muslim ke seenon mein
Phir bhadki nafarat ki jwaala
Jisko dekh ke dukhi huaa
Quran aur geeta ka matwaala
Nawankhali mein khoon ki
Holi haiwano ne kheli
Dayaa ki murat bapu se
Ye peeda gayee na jelee
Tan pe langoti haath mein
Danda hothon pe thi prem ki baani
Nagar nagar paidal phirta tha
Assee saal ka boodha praani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani

Sun saintaalish pandrah
Agast ko azaadi ka din jab aaya
Apne desh mein apana
Zanda dhoom dhaam se lehraya
Lekin us din pyara bapu
Bharat ka ujiyara bapu
Door dilli se nawankhali mein
Kamjoron ki rakhwali mein
Apni jaan ladaaye tha aur
Apana aap chupaye tha
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani

Kalkatte mein phir brat rakhha
Hindu muslim ko samjaane
Bapu ka ye chamatkar tha
Samaj gaye dono deewane

Kalkatte e se dilli aakar
Us nagri ka maan badhaya
Saanj sawere ramnaam ka
Birla ghar mein diya jalaya
Raghupati raghav rajaram
Ishwar allah tere naam
Bapu ka aadhar yahin tha
Bapu ka parchaar yahin tha
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani
Woh bapu jo pujya hai itana
Jitana ganga maa ka paani
Suno suno aye duniya waalon
Bapu ki ye amar kahani.

More songs lyrics from Bapu Ki Amar Kahani.