Apni Ulfat Pe Zamaane Lyrics

"Apni Ulfat Pe Zamaane" lyrics from Sasural sung by lata mangeshkar, mukesh chand mathur (mukesh) and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Lyricist(s):

Apni Ulfat Pe Zamaane Lyrics


Apni ulfat pe zamaane
Ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi
Na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane
Ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Paas rehkar bhi bahut
Door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe
Phir bhi to hum door rahe
Paas rehkar bhi bahut
Door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe
Phir bhi to hum door rahe
Meri raahon mein na
Uljhan ka andhera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi
Na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do
Phool na khilne paayen
Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do
Phool na khilne paayen
Apni manzil ko jo
Kaanton ne na ghera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane
Ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Ajab sulagti huyi
Lakdiyaan hain jagwaale
Mile to aag ugalte
Kate to dhoonwa karen
Ajab sulagti huyi
Lakdiyaan hai jagwaale
Mile to aag ugalte kate
To dhoonwa karen
Apni duniya mein bhi sukh
Chain ka phera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane
Ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi
Na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota.

More songs lyrics from Sasural.