Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi song Lyrics

"Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi song" lyrics from independence day songs sung by mohammed rafi and lyrics written by shakeel badayuni

Singer(s):
Lyricist(s):

Apni Aazadi Ko Hum Hargiz Mita Sakte Nahi song Lyrics


Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

Humne sadiyon mein ye aazaadi ki nemat paayi hai
Humne ye nemat paayi hai
Saikdon qurbaniyan de kar ye daulat paayi hai
Humne ye daulat paayi hai
Muskura kar khayi hain seeno pe apne goliyaan
Seeno pe apne goliyaan
Itne veerano se guzre hain to ye jannat paayi hai
Khaak mein hum apni izzat ko mila sakte hain
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin

Kya chalegi zulm ki ahele wafa ke saamne
Ahele wafa ke saamne
Aa nahin sakta koi shola hawaa ke saamne
Shola hawa ke saamne
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Ruk nahin sakta hamari ekta ke saamne
Hum wo pathar hain jise dushman hila sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande Mataram…

Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar jhuka sakte nahin

Waqt ki aawaaz ke hum saath chalte jayenge
Hum sath chalte jayenge
Har qadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
Hum rukh badalte jayenge
Gar watan mein bhi milega koi gaddar-e-watan
Koi gaddar-e-watan
Apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
Ek dhoka kha chuke hain aur kha sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande matram vande matram vande matram

Hum vatan ke naujawan hain humse jo takrayega
Humse jo takrayega
Wo humari thokaron se khaak mein mil jayega
Khaak mein mil jayega
Waqt ke toofan mein beh jayenge zulm-o-sitam
Aasmaan par ye tiranga umr bhar lehraayega
Umar bhar lehraayega
Jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahin

Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

More songs lyrics from independence day songs.