Apna Gham Lyrics

"Apna Gham" lyrics from Insight sung by jagjit singh and music directed by jagjit singh and composed by jagjit singh and lyrics written by muqtida hasan nida fazli

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Apna Gham Lyrics

Apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye

Ghar mein bikhri huee cheezon ko sajaaya jaye
Apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye

Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin

Un chiragon ko hawaon se bachaya jaye
Apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye

Baag mein jaanay ke aadaab hua karte hain

Kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye
Apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye

Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le

Kisi rote huye bachay ko hansaya jaye
Apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye.

More songs lyrics from Insight.