Apna Desh Videsh Lyrics

"Apna Desh Videsh" lyrics from Anokha sung by mukesh chand mathur (mukesh) and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)


Apna Desh Videsh Lyrics


Apna desh videsh ke
Aage hath na phailaye
Apna desh videsh ke
Aage hath na phailaye
Aaj jahan hai ret kal
Wahan khet muskaraye
Aaj jahan hai ret kal
Wahan khet muskaraye
Aisa karo aisa karo
Gav gav mein ganga lehraye
Aisa karo aisa karo
Gav gav mein ganga lehraye
Apna desh videsh ke
Aage hath na phailaye
Kabhi bhi hath na phailaye

Mehnat ka hi naam hai wo
Jisko kismat kehte hai
Jisko kismat kehte hai
Do hatho ka khel hai wo
Jisko daulat kehte hai
Jisko daulat kehte hai
Hum jahan pasina bahayenge
Moti wahan ugayenge
Moti wahan ugayenge
Nadiya bandhe nahar nikale
Nahar nikale
Ho nadiya bandhe nahar nikale
Kushahali chhaye
Aisa karo aisa karo
Gav gav mein ganga lehraye
Apna desh videsh ke
Aage hath na phailaye
Kabhi bhi hath na phailaye

Desh ki har ek chiz hai apani
Apne hatho kyu tode
Ab apne hatho kyu tode
Isko bachhana farz hai apna
Kyu sarkar par chhode
Ab sarkar par chhode
Apna bharat sara
Hume prant prant hai pyara
Hume prant prant hai pyara
Aapas ke hi in dango mein
In dango mein
Aapas ke hi in dango mein
Desh na jal jaaye
Aisa karo aisa karo
Gav gav mein ganga lehraye
Apna desh videsh ke
Aage hath na phailaye
Kabhi bhi hath na phailaye
Aaj jahan hai ret kal
Wahan khet muskaraye
Kal wahan khet muskaraye.

More songs lyrics from Anokha.