Akela Hoon Main Lyrics

"Akela Hoon Main" lyrics from Neela Aasmaan sung by kishore kumar and music directed by kishore kumar and composed by kishore kumar and lyrics written by kishore kumar

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Akela Hoon Main Lyrics


Akela hoon main is jahaan mein
Akeli meri daastaan
Na manzil koi na saathi koi
Jaane kya ye neela aasmaan
Kya khabar kya pataa
Jaa raha hoon main kahaan

Meri raat ka ek saathi
Yahi chaand ka kaarwaan
Chaloon to chalein
Rukoon to rukein
Jaane kya ye neela aasmaan
Kya khabar kya pataa
Jaa raha hoon main kahaan

Mera hamsafar mera saaya
Mera meherbaan raazdaan
Na iska koi na mera koi
Jaane kya ye neela aasmaan
Kya khabar kya pataa
Jaa raha hoon main kahaan

Ye dariya ye maujein ye saahil
Ye chhalki hui mastiyaan
Hain aati nazar kuchh kami si magar
Jaane kya ye neela aasmaan
Kya khabar kya pataa
Jaa raha hoon main kahaan

Akela hoon main is jahaan mein
Akeli meri daastaan
Na manzil koi na saathi koi
Jaane kya ye neela aasmaan
Kya khabar kya pataa
Jaa raha hoon main kahaan
Jaa raha hoon main kahaan.

More songs lyrics from Neela Aasmaan.