Ajnabi Ban Ke Lyrics

"Ajnabi Ban Ke" lyrics from Mujhe Seene Se Laga Lo sung by mahendra kapoor and music directed by hansraj behl and composed by hansraj behl

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ajnabi Ban Ke Lyrics


Ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
Aaj kaha jata hai
Leke hajaro gam ke nisha jata hai
Aaj kaha jata hai

Maang mein dal ke sindur
Ki lali ab tak
Teri yaado mein tadapta hai
Koi shamo sahar
Jisko baho mein jhulane ki tamana
Thi tujhe
Aaj hai gair ke bas mein
Wo tera lakhte jigar
Aaj hai gair ke bas mein
Wo tera lakhte jigar
Gair ke sath wo tera nisha jata hai
Aaj kaha jata hai
Ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
Aaj kaha jata hai

Yu bhatakta hi rahega
Tu kaha tak itna nada
Sath denge ye kaha tak
Tere majbur kadam
Maut saye ki tarha pichha
Karegi tera
Zindagi tujhse pareshan
Rahegi hardam
Zindagi tujhse pareshan
Rahegi hardam
Maut ko sath liye tu kaha jata hai
Aaj kaha jata hai
Ajnabi ban ke aaj kaha jata hai
Aaj kaha jata hai

Tune jis aag ko sine se laga rakha
Tu usi aag ko sine se alhada kar le
Ye teri ruh tera jism jala dalenge
In bahakte hue sholo se kinara kar le
Tu kinara kar le tu kinara kar le
Tu kinara kar le, tu kinara kar le.

More songs lyrics from Mujhe Seene Se Laga Lo.