Aji Pyaar Se Munh Na Modna Lyrics

"Aji Pyaar Se Munh Na Modna" lyrics from Bachke Rahna sung by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra), sulochana kadam and music directed by anna saheb and composed by anna saheb and lyrics written by ehsan rizvi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aji Pyaar Se Munh Na Modna Lyrics


Aji pyaar se munh na modna
Thhode hain din bahaar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke

Khel khel mein hota hai
Kachoombar dil ka
Sar ko phir paaon bana
Deta hai chakkar dil ka
Aji hum to teri gali mein jaayen
Log nikaalen maar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke
Aji pyaar se munh na modna
Thode hain din bahaar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke

Naam unka hua
Jo pyaar mein badnaam huye
Kaam unka bana
Phir pehle jo naakaam huye
Rone hi waale hanste hain
Ye hi dhang hain pyaar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke
Aji pyaar se munh na modna
Thode hain din bahaar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke

Aji ek hai din lohaar ka
Baaqi to hain sonaar ke
Mil gayi do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke

Dil ke jalne hi se
Jeewan mein ujaala hoga
Sach hai ye baat to
Samjho ke ghotaala hoga
Aji prem ki haar aur jeet hai
Jeetenge dil ko haar ke
Mil gayin do jawaaniyaan
Khel ki rut guzaar ke.

More songs lyrics from Bachke Rahna.