Ae Khuda Dardo Gham Lyrics

"Ae Khuda Dardo Gham" lyrics from Tum Hi To Ho... sung by anand sharma, gayatri ganjawala, kunal ganjawala and music directed by milind shrivastav and composed by anand shrivastav, milind shrivastav and lyrics written by ravi chopra

Lyricist(s):
Music Director(s):

Ae Khuda Dardo Gham Lyrics


Aey khuda dard o gham ka silsila
Aaj isi dam tod de
Zindagi lamha lamha mat jala
Mera daaman chod de
Saans lena lage ab saza
Kya karunga mai jee ke bata
Kya karunga mai jee ke bata

Koi hamsafar na
Koi ham nawa
Palkon mei chubhe
Bas yaado ka dhuwaan
Koi hamsafar na koi
Ham nawa palko me chubhe
Bas yaado ka dhuwaan

Dil me kuch nahi zakhmon ke siwa
Nakaam hogai har dawa har dua
Gham kiye hain khushi ne ataa
Kya karunga mai jee ke bata
Kya karunga mai jee ke bata

Ruk jaey saanso ka silsila
Dil dharakna chod de
Pyaar mera jaana jis din tujhe
Pyaar karna chod de
Main jiyu tujh se ho ke judaa
Na dikhaey ye wo din khuda
Na dikhaey ye wo din khuda

Jab bhi tasawwur tera
Hota hai mere pehlu me
Teri khushbooain mere
Saanson mein utar jaati hai
Meri tanhaiyaan jab
Aati hain tere kareeb
Khuwaahishain sabr ki
Sarhad se guzar jaati ha
Humm aray aray aray
Yeh kya kiya tum ne
Main yeh chaahta hun ke
Yeh hawaeyn yeh
Fizaeyn sab jaan lain
Ke tum kitni khoob soorat ho
Hun hun hun

Lamha lamha tera ehsaas
Mujhe choota hai
Rafta rafta mai tere
Rang mein dhal jaati hun
Mai tujhe apne khayaalon
Me bula kar aksar
Jannaton se bhi kahi
Door nikal jaati hun
Or tum ne aisa kyu kiya hai
Mai chaahti hun ke
Yeh hawaeyn
Yeh fizaeyn yeh jaan le
Ke tum mere liye
Ho tum hi to ho

Baanho me teri
Meri raate hon basar
Jaagun har seher
Bas tujh ko dekh kar
Ho o baanho me teri
Meri raate hon basar
Jaagun har seher
Bas tujh ko dekh kar
Mai tere ishq mein
Khud se hun bekhabar
Bin tere bin tere
Kuch na aey nazar
Teri chaahat ho mujh se khafa
Na dikhaye yeh wo din khuda
Na dikhaye yeh wo din khuda.

More songs lyrics from Tum Hi To Ho....