Aaya Mera Saajan Aaya Lyrics

"Aaya Mera Saajan Aaya" lyrics from Zevarat sung by geeta ghosh roy chowdhuri (geeta dutt) and music directed by hansraj behl and composed by hansraj behl and lyrics written by habeeb sarhadi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aaya Mera Saajan Aaya Lyrics


Aaya mera saajan aaya
Aaya mera saajan aaya
Ho saajan aayaa
Aaya mera saajan aaya
Ho saajan aaya

Aye chand na ab sharma tu
Baadal mein munh na chhupa tu
Mere chand ke saamne aa tu
Mere chand ke saamne aa tu
Phirta hai badaa itraya
Phirta hai badaa itraya
O saajan aayaa
Aaya mera saajan aaya
O saajan aaya

Raaton ki neend udaa gayi
Taaron ko meet banaa kar
Raaton ki neend udaa gayi
Taaron ko meet banaa kar
Jeevan ko gham mein mitaakar
Mushqil se tujhe apnaayaa
Mushqil se tujhe apnaayaa
O saajan aaya
Aaya mera saajan aaya
O saajan aaya

Dekho to ye parwaane
Nanhe munne deewaane
Dekho to ye parwaane
Nanhe munne deewaane
Aaye thhe ishq jataane
Jeevan ko apne jalaya
Jeevan ko apne jalaya
O saajan aaya
Aaya mera saajan aaya
O saajan aaya.

More songs lyrics from Zevarat.