Aao Sunata Hoon Sabko Lyrics

"Aao Sunata Hoon Sabko" lyrics from Bal Ganesh sung by hariharan, ketki dave, lavanya, siddhant bhosle and music directed by shamir tandon and composed by shamir tandon and lyrics written by shabbir ahmed

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aao Sunata Hoon Sabko Lyrics


Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani

Kaise jab nandi ne maa
Parvati ka na mana aadesh
Kaise jab nandi ne maa
Parvati ka na mana aadesh
Toh mane phir kaise
Banaya apna ganesh
Apna bal ganesh
Apna bal ganesh
Kaunsa aadesh kaise
Bane ganesh kya huwa
Sab batata hu pehle sare bolo
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah

Maa parvati jab jati thi nahane
Toh nandi karta peheredari
Sab ko tha woh rok leta par
Chup rehta shiv ki
Jab aaye sawari
Shiv jo chale aaye andar
Parvati huyi behad naraj
Par nandi tha bail shiva ka
Unke aage bilkul be aawaz
Phir kya huwa parvati ke
Mann me ek chah uthi
Kash koi hota mera
Jise main karti pyar
Jo manta meree bate
Mujhpe ho jata nisar
Kyun na main khud hi banau
Use dil ka ho ek tukda
Mere hi jaisa ho uska rang
Mere hi jaisa ho mukhada
Ganesh haan
Phir phir phir parvati ne gadha
Aur racha ik balak vishesh
Apne mail se banaya
Apna pyara ganesh

Achhi kahani hai par kuchh
Toh gadbad ghotala hai bhai
Maa parvati ne kya aisi
Thi balak ki surat banayi
Na sund na kan hathi ke
Kaisa hai iss balak ka bhes
Hai yeh nahi hai yeh nahi hai
Yeh nahi hamara ganesh
Bal ganesh ko hathi ka
Munh kaise mila
Woh ek aur kahani hai
Woh phir kabhi sunau
Aaj suni hai ham sab ne
Badhiya ek kahani
Lagti hai jo nayi nayi
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab
Ko aaj ek kahani.

Q

More songs lyrics from Bal Ganesh.