Aao Shyam Sundar Lyrics
"Aao Shyam Sundar" lyrics from Mashooka sung by suraiya jamaal sheikh (suraiya) and music directed by roshanlal nagrath (roshan) and composed by roshanlal nagrath (roshan) and lyrics written by shailendra (shankardas kesarilal)
Aao Shyam Sundar Lyrics
Ek aas ek aasaraa hai
Tere shyaam ka
Aasaraa hai shyaam ka
Ek dip raah mein jale
Tumhaare naam ka
Aasaraa hai shyaam kaa
Teraa ye jahaan
Yahaan mera aur koi nahi
Yahaan mera aur koi nahi
Su: tut gayi dor sabhi
Ek aas baaki rahi
Shyaam se milan ki
Aao shyam sundar
Ab to shaam ho chali
Jeevan ki
More nain jhare
Naino roye jaise
Ghata saawan ki
Aao shyaam sundar
Sakhi rain ghire
Dhire dhire rain ghire
Din to jaise taise kate
Kaise kate ratiyaan
Nid aaye kaise jab se base
Akhiyan mein akhiyaan
Koi jaane naa jaane na
Mori baat ye lagan ki
Aao shyam sundar
Ek aas ek aasaraa hai,
Aao shyaam sundar.
More songs lyrics from Mashooka.