Aansuo Ko Thaam Le Lyrics

"Aansuo Ko Thaam Le" lyrics from Chhota Baap sung by anuradha paudwal and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by bharat vyas

Singer(s):
Lyricist(s):

Aansuo Ko Thaam Le Lyrics


Aansuo ko tham le sabar se jo kam le
Aafato se na dare mushkilo ko hal kare
Apne man ki jis ke hath me lagam hai
Aadami usi ka naam hai
Aadami usi ka naam hai
Aadami usi ka naam hai, oo ho
Aansuo ko tham le sabar se jo kam le
Aafato se na dare mushkilo ko hal kare
Apne man ki kis ke hath me lagam hai
Aadami usi ka naam hai, oo ho
Aadami usi ka naam hai

Besahara hoke bhi sahara dund le
Besahara hoke bhi sahara dund le
Chir ke bhawar ko jo kinara dund le
Zindagi sangram hai, sangram me laga rahe,
Phal ki aasha chhod ke jo kam me laga rahe
Aaram jiske vasate sada haram hai
Aadami usi ka naam hai, oo ho
Aadami usi ka naam hai

Ye zamana chahe jiske hatho me na hath de
Ye zamana chahe jiske hatho me na hath de
Khud bo khud hi chal pade agar koi na sath de
Kab kise dare nahi kya kahana uski shan ke
Waqt ka mukabala kare jo sina tan ke
Jiski har ek sans deti pyar ka paigam hai
Aadami usi ka naam hai
Aadami usi ka naam hai oo ho

Aansuo ko tham le sabar se jo kam le
Aafato se na dare mushkilo ko hal kare
Apne man ki jis ke hath me lagam hai
Aadami usi ka naam hai, oo ho
Aadami usi ka naam hai.

More songs lyrics from Chhota Baap.