Aansu Nahi Bahana Lyrics

"Aansu Nahi Bahana" lyrics from Road To Sikkim sung by mahendra kapoor and music directed by vijay singh and composed by vijay singh and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aansu Nahi Bahana Lyrics


Aansu nahi bahana
Tu shahid ki hai maa
Tu shahid ki hai maa
Tere dudh ka jo rin tha
Deke lahu chukaya
Khush ho ke lal tera
Bharat ke kam aaya
Rokar bhi muskurana
Tu shahid ki hai maa
Tu shahid ki hai maa

Koi maa jo tujhko dekhe
Aansu bahate se
Wo apne dil ka tukda
Bhejegi ran mein kaise
Muskake dil badhana
Tu shahid ki hai maa
Tu shahid ki hai maa

Marna to hai sabhi ko
Duniya mein bari bari
Yeh maut wo hai mata
Jo hai zindagi se pyari
Gaurav se sar uthana
Tu shahid ki hai maa
Tu shahid ki hai maa

Tere dudh ka jo rin tha
Deke lahu chukaya
Khush ho ke lal tera
Bharat ke kam aaya
Rokar bhi muskurana
Tu shahid ki hai maa
Tu shahid ki hai maa.

More songs lyrics from Road To Sikkim.