Aakhir Woh Din Aaya Aaj Lyrics

"Aakhir Woh Din Aaya Aaj" lyrics from Dharti Mata sung by pankaj mullick and music directed by pankaj mullick and composed by pankaj mullick and lyrics written by pandit sudarshan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aakhir Woh Din Aaya Aaj Lyrics


Aakhir woh din aaya aaj
Aakhir woh din aaya aaj
Jis din ka rasta takta thha
Jiska thha mohtaaj aakhir
Jis din ka rasta takta thha
Jiska thha mohtaaj
Aakhir woh din aaya aaj
Aakhir woh din aaya aaj

Aaj mere ghar aasha aayi
Aaj hui meri sunwaai
Aaj mere ghar aasha aayi
Aaj hui meri sunwaai
Aaj mera haath aa kar pakda
Aaj mera haath aa kar pakda
Aap ghareeb nawaaz
Aakhir woh din aaya aaj
Aakhir woh din aaya aaj
Jis din ka rasta takta thha
Jiska thha mohtaaj
Aakhir woh din aaya aaj
Aakhir woh din aaya aaj

Jinke man mein nek iraade
Unki mushqil door hata de haan
Jinke man mein nek iraade
Unki mushqil door hata de
Tere ghar mein kya mushqil hai
Tere ghar mein kya mushqil hai
Sun o raajadhiraaj
Tere ghar mein kya mushqil hai
Sun o raajadhiraaj
Aakhir woh din aaya aaj
Aakhir woh din aaya aaj.

More songs lyrics from Dharti Mata.