Aaj Meri Hai Pariksha Laaj Rakh Lyrics

"Aaj Meri Hai Pariksha Laaj Rakh" lyrics from Brahma Vishnu Mahesh sung by suman kalyanpur and music directed by s. n. tripathi and composed by s. n. tripathi and lyrics written by bhagwat dutt mishra

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aaj Meri Hai Pariksha Laaj Rakh Lyrics


Aaj meri hai pariksha
Laaj rakh bhagwan
Tutne paye na nari
Jati ka abhiman
Zeher ugalta zeherila
Insan yaha
Zeher ugalta zeherila
Insan yaha
Soye ho bhagwan kaha tum
Soye ho bhagwan kaha

Bich bhawar me dub
Rahi hu mai aise
Bich bhawar me dub
Rahi hu mai aise
Tinka tik paye na
Aandhiyo me jaise
Mere liye ab mere liye hai
Prlay ka har saman yaha
Soye ho bhagwan kaha tum
Soye ho bhagwan kaha
Zeher ugalta zeherila
Insan yaha
Soye ho bhagwan kaha tum
Soye ho bhagwan kaha

Jivan me tufan
Ye kaisa hai aaya
Jivan me tufan
Ye kaisa hai aaya
Pran ud gaye haye
Pran ud gaye haye
Rah gayi hai maya
Mange chita
Ab mange chita mujhse
Suhag ka vardan yaha
Soye ho bhagwan kaha tum
Soye ho bhagwan kaha

Mang ka ye sindur hath ki
Chudi tumhe pukare
Pati bin agan na lagate tan
Ko ye aabhushan sare
Barhma vishnu mahesh aaj
Kyu baithe mujhe bisare
Kaun suhag bachaye mera
Bhagwan siva tumhare
Aao barhma aao
Vishnu aao mahesh
Aao barhma aao
Vishnu aao mahesh
Aao barhma vishnu mahesh.

More songs lyrics from Brahma Vishnu Mahesh.