Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics

"Aaj Ka Din Hai Bada Mahan" lyrics from Parivar sung by lata mangeshkar and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by gulshan bawra (gulshan kumar mehta)

Singer(s):

Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics


Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan

Nam ek ka bapu gadhi
Or ek lal bahadur hai
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Bapu jisne manwata ka
Dunia ko sandesh diya
Bagdor bharat ki sambhali
Nehru ko adesh diya
Lal bahadur jisne hamko
Garw se jina sikhlaya
Sach pucho to geeta ka
Adhyaya usine dohraya
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Vishwa shanti ke hit me dekho
Surviro ne kiye hai tyag
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Mere munne do october ke
Subh din hi tu janma
Meri yahi dua hai ki
Un jaisa hi tu banna
Or un jaisa na ban apye
To fir itna karna
Kam se kam unke batalaye
Raste pe hi tu chalna
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Tumpe dunia naj karegi
Tu hai un veero ki shan
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan.

More songs lyrics from Parivar.