Aaj Hum Ko Aadmi Ki Lyrics

"Aaj Hum Ko Aadmi Ki" lyrics from Muqaddar Ka Faisla sung by kishore kumar, mohammed aziz and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri and lyrics written by anjaan

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Aaj Hum Ko Aadmi Ki Lyrics


Humne dekha gor se jab aadmi
Aadmi apni samjh mein zindagi
Zindagi ko dekha jab nazdik se
Tab samjh mein aaya kya hain aadmi

Aaj hum ko
Aaj humko aadmi ki pehchan ho gayi
Zindagi se mulakat bhi aasan ho gayi
Aaj humko aadmi ki pehchan ho gayi
Zindagi se mulakat bhi aasan ho gayi
Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Lo buro ka bura waqt aa hi gaya
Aaj humko aadmi ki pehchan ho gayi

Mohabbat pe hum bhi to kurban the
Ye kya khawab dekhe kya arman the
Vo sapne hamare dhundne
Kho gaye kho gaye
Hume roop aakhir badlna pada
Bagawat ke sanche mein dhalna pada
Mile aap se to kya se kya
Ho gaye ho gaye
Har kasam tod di har rasam tod di
Kashti tufan mein humne khud mod di
Ab hume dar nahin hoag anzam ka
Aaj hum ko
Aaj hum ko aadmi ki pehchan ho gayi
Zindagi se mulakat bhi aasan ho gayi

Tizori mein jo band hain aapki
Vo dolat nahin aapki hain aapke bap ki
Lutegi ki kamai zulm ke pap ki pap ki
Meri bat ka na bura maniye
Zara waqt ki nakhdh pehchaniye
Chalegi na koi chal ab aapki aapki
Kitabo mein jo hain likha sach likha
Bujargo ne jo kaha hain sach kaha hain
Bure kam ka hain natiza bura
Aaj hum ko
Aaj humko aadmi ki pehchan ho gayi
Zindagi se mulakat bhi aasan ho gayi

Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Lo buro ka boora waqt aa hi gaya
Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Kya ajab hain mukaddar ka ye faisla
Lo buro ka bura waqt aa hi gaya
Lo buro ka bura waqt aa hi gaya
Aaj humko aadmi ki pehchan ho gayi.

More songs lyrics from Muqaddar Ka Faisla.