Aaj Hai Karwa Chauth Lyrics

"Aaj Hai Karwa Chauth" lyrics from Bahu Beti sung by asha bhosle and music directed by ravi shankar sharma (ravi) and composed by ravi shankar sharma (ravi) and lyrics written by sahir ludhianvi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Aaj Hai Karwa Chauth Lyrics


Aaj hai karva chauth
Sakhi ri mang le sukh kaa dan
Apne sapano ke swami kaa
Dhar kar mann me dhyaan

Janam janam tak mang kaa
Teri rang pade naa phika
Jab tak chamke chand
Sitare tab tak chamke tika
Bandhe rahe manabhate
Pritam ke prano se pran
Aaj hai karva chauth
Sakhi ri mang le sukh kaa dan
Aaj hai karva chauth sakhi ri

Jo koyi mange aaj lagan
Se yug yug kaa sukh paye
Sath saphal ho prem amar
Ho jivan me ras aaye
Aaj har ik nari ko prabhu
Se milta hai vardan
Aaj hai karva chauth
Sakhi ri mang le sukh kaa dan
Aaj hai karva chauth sakhi ri.

More songs lyrics from Bahu Beti.