Yeh Aaj Kya Ho Gaya Lyrics

"Yeh Aaj Kya Ho Gaya" lyrics from Luck By Chance sung by sunidhi chauhan and music directed by ehsaan noorani, loy mendonsa, shankar mahadevan and composed by ehsaan noorani, loy mendonsa, shankar mahadevan and lyrics written by javed akhtar

Singer(s):
Lyricist(s):

Yeh Aaj Kya Ho Gaya Lyrics


Suraj meri khidki se jo hai jhankta
Kirano ko jaise mil gaya hai rasta
Hasti hui aa gai
Oh oh oho…
Kamre mein jitni neend thi ud gai
Umeed jate jate vapas mud gai
Laut aai hai phir yahin
Oh oh oho…

Jaane yeh sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Hirath mein dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya….

Din yuhi badlane ko hai
Zindagi sawarein ko hai
Jaane kyon yeh mujhko hai laga

Lachki hai jo dil ki daali
Kaliyan ab hai khilne wali
Haule haule paas aa ke
Dheeme se gayein hawaein

Jaane yeh sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Hirath mein dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya….

Sach bari bari ho rahe sab khwab hai
Panchi udan bharne ko betaab hai
Aankhon mein hai aasmaan
Oh oh oho…

Resham ke jaise narmi hai har baat mein
Ujle hai din aur chandni hai raat mein
Har lamha hai mehreban
Oh oh oho…

Jaane yeh sab kya hai
Jo bhi hai naya sa hai
Hirath mein dil kho gaya
Yeh aaj kya ho gaya….

More songs lyrics from Luck By Chance.