Wo Bewafa Hai Lyrics

"Wo Bewafa Hai" lyrics from Aashnaai sung by shishir parkhie and music directed by shishir parkhie and composed by shishir parkhie

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Wo Bewafa Hai Lyrics


Wo bewafa hai to phir
Uska aitbaar na kar
Wo bewafa hai to phir
Uska aitbaar na kar
Khuda ke vaaste tu
Aur intazaar na kar
Wo bewafa

Khayaal e yaar mein ghum
Hoke reh gaya hoon main
Khayaal e yaar mein ghum
Hoke reh gaya hoon main
Mere gunaaho ko aye
Muhtasib shumaar na kar
Mere gunaaho ko aye
Muhtasib shumaar na kar
Khuda ke vaaste tu aur
Intazaar na kar
Wo bewafa

Wafa ka paas to rakhna
Bahot zaroori hai
Wafa ka paas to rakhna
Bahot zaroori hai
Junoone ishq mein daaman
Ko taar taar nakar
Junoone ishq mein daaman
Ko taar taar nakar
Khuda ke vaaste tu
Aur intazaar na kar
Wo bewafa

Yeh aarzoo hai tamanna
Hai iltizaa bhi hai
Yeh aarzoo hai tamanna
Hai iltizaa bhi hai
Humaare dil ko ab tu
Aur bekaraar na kar
Humaare dil ko ab tu
Aur bekaraar na kar
Khuda ke vaaste tu
Aur intazaar na kar
Wo bewafa

Tera naseeb main ban
Jaaun ho nahin sakta
Tera naseeb main ban
Jaaun ho nahin sakta
Shafaq se itna khuda
Ke liye ab pyaar na kar
Shafaq se itna khuda
Ke liye ab pyaar na kar
Khuda ke vaaste tu
Aur intazaar na kar
Wo bewafa hai to phir
Uska aitbaar na kar
Wo bewafa hai to phir
Uska aitbaar na kar
Khuda ke vaaste tu
Aur intazaar na kar
Wo bewafa.

More songs lyrics from Aashnaai.