Unse Nazrein Mili Lyrics

"Unse Nazrein Mili" lyrics from Gazal sung by lata mangeshkar, meenu purushottam and music directed by madan mohan kohli and composed by madan mohan kohli and lyrics written by sahir ludhianvi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Unse Nazrein Mili Lyrics


Unse nazrein mili aur hijaab aa gaya
Unse nazrein mili aur hijaab aa gaya
Zindagi mein haseen inquilaab aa gaya
Unse nazrein mili aur hijaab aa gaya

Aaa
Bekhabar the umar ke taqaazon se ham
Bekhabar the umar ke taqaazon se ham
Hamko maalum na tha aise bhi din aayenge
Aayina dekhe to aap apne se sharmayenge
Hamko maalum na tha aise bhi din aayenge
Aayina, aayina dekhe to haay haay
Aap apne se sharmaayenge
Bekhabar the umar ke taqaazon se ham
Aaj jana ki sachmuch shabaab aa gaya
Aaj jana ki sachmuch shabaab aa gaya
Unse nazrein mili aur hijaab aa gaya

Aankh jhukti hai kyun saans rukti hai kyun
Aankh jhukti hai kyun saans rukti hai kyun
In sawaalon ka khud se jawab aa gaya
In sawaalon ka khud se jawab aa gaya
Unse nazrein mili aur hijab aa gaya

Dil ke aane ko ham kis tarah rokte
Dil ke aane ko ham kis tarah rokte
Dil ko roka na gaya
Khud ko sambhala na haya
Baat intehaa badhi
Baat ko taalaaa na gaya
Haan dil ko roka na gaya
Khud ko sambhaalaa na haya
Baat intehaa badhi haay
Baat ko taalaaa na gaya
Dil ke aane ko ham kis tarah rokte
Jispe aana tha kana kharab aa gaya
Jispe aana tha kana kharab aa gaya
Unse nazrein mili aur hijab aa gaya
Zindagi mein hasin inquilab aa gaya.

More songs lyrics from Gazal.