Madhuban Khushboo Lyrics

"Madhuban Khushboo" lyrics from Saajan Bina Suhagan sung by anuradha paudwal, k. j. yesudas (kattassery joseph yesudas) and music directed by usha khanna and composed by usha khanna and lyrics written by amit khanna

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Madhuban Khushboo Lyrics


Madhuban khusbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Jina uska jina hai jo oro ko jiwan deta hai
Madhuban khusbu deta hai

Suraj na ban paye to
Banke deepak jalta chal
Suraj na ban paye to
Banke deepak jalta chal
Pul mile ya angare
Sach ki raho pe chalta chal
Sach ki raho pe chalta chal
Pyar dilo ko deta hai
Ashko ko daman deta hai
Jina uska jina hai jo oro ko
Jiwan deta hai
Madhuban khusbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Madhuban khusbu deta hai

Chalti hai laharake pawan
Ke sans sabhi ki chalti rahe
Chalti hai laharake pawan
Ke sans sabhi ki chalti rahe
Logo ne tyag diye jiwan
Ke preet dilo me palti rahe
Ke preet dilo me palti rahe
Dil wo dil hai jo
Oro ko apni dhadkan deta hai
Jina uska jo oro ko jiwan deta hai
Madhuban khusbu sagar jiwan deta hai
Madhuban khusbu.

More songs lyrics from Saajan Bina Suhagan.