Kaun Hai Aisa Lyrics

"Kaun Hai Aisa" lyrics from Raadha Aur Seeta sung by hemlata (lata bhatt), k. j. yesudas (kattassery joseph yesudas) and music directed by ravindra jain and composed by ravindra jain and lyrics written by ravindra jain

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kaun Hai Aisa Lyrics


Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho
Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho
Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho

Pyar ke bina pura koi saringar na ho
Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho

Jiwan hai phul man ek panchi
Sans sans me geet re
Man panchi fir udna na chahe
Le jo use koi jeet re
Jina re wo kaisa agar kisi pe
Apna koi adhikar na ho
Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho

Is anjane me shahar me aake
Man kitna bechain tha
Kisko khabar thi inhi galiyo me
Chupa mere dil ka chain tha
Khushi to khushi hai us khushi ka
Hotho se chahe izhar na ho
Kon hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchio se pyar na ho

Pahle pahal jab mujhse mile the
Tum kitne hairan the
Tum meri mai tumhari najar me
Dono hi nadan the
Mere humdum aisi galti hamse
Fir is bar na ho
Pyar ke bina pura koi saringar na ho
Kaun hai aisa jise phoolo se
Geeto se panchiyo se pyar na ho.

More songs lyrics from Raadha Aur Seeta.