Jiske Pyar Mein Aathon Lyrics

"Jiske Pyar Mein Aathon" lyrics from Veer Bhimsen sung by asha bhosle, mahendra kapoor and music directed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and composed by ramchandra narhar chitalkar (c. ramchandra) and lyrics written by ramchandra baryanji dwivedi (kavi pradeep)


Jiske Pyar Mein Aathon Lyrics


Jisko pyar mein aatho pahar mai
Rahti hu aaj kal gum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum
Jiske rup ke dekh ke ek din
Mai hua tha chakit gum sum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum

Ek bat main tumse puchu
Kyu lagte ho pahchane se
Ek bat mai tumse puchu
Kyu lagte ho pahchane se
Kabhi kabhi aisa bhi hai hota
Kahi ankhiya lad jane se
Jisko dekhte hi bikhara tha
Mere galo pe kum kum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum

Mujhe jab se lubhaya kisi ne
Rahti hu main khoi khoi
Apna bhi to hal yahi hai
Meri ankhiyo mein bhi hai koi
Jis jadugar ne jaga di
Mere payal me chum chum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum

Tum kaun ho ab to bata do
Acha na kisi ko satana
Tum kaun to ab to bata do
Acha na kisi ko satana
Kabhi kabhi bada pyara lagta
Apno ko bhi tadpana
Jis chandar mukhi ki chamak se
Mere man ka khila tha kusum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum
Jiske pyar mein aatho pahar main
Rahti hu aajkal gum
Kya wahi to nahi ho tum
Mujhe kya malum.

More songs lyrics from Veer Bhimsen.