Hanuman Ne Liya Udaan Lyrics

"Hanuman Ne Liya Udaan" lyrics from Sankatmochan Mahabali Hanuman


Hanuman Ne Liya Udaan Lyrics


Vajra ka mere yah apradh
Kiya usne hanu par ghaat
Hanu bane ab vajra saman
Log kahe tumko hanuman
Ram dut tum dev dali
Akhe tumhe bajrang bali
De rahe devta bardaan
Kara rahe amrit ka paan

Jeeye maruti jeeye ram dut
Jeeye aanjney jeeye kesri putra
Jeeye shambhuansh
Jeeye pavan dulare
Jeeye jeeye shri ram ke pyare

Yeh gatha mahabli hanutmat ki
Rach kar lila ram bhagat ki
Jai jai raghunandan ram
Jai jai mahabali hanuman

Hanuman ne liya udaan
Vayu dev ke shesh mahan
Maa se milne ki vyakulta
Veg badhate hai hanuman
Partisapradah kare guru se
Kintu man mein hai samaan
Vayu dev ne diya ashish
Agrani raho sada hanuman

Yeh gatha mahabli hanutmat ki
Rach kar lila ram bhagat ki
Jai jai raghunandan ram
Jai jai mahabali hanuman.

More songs lyrics from Sankatmochan Mahabali Hanuman.