Ek Musafir Ko Duniya Mein Lyrics

"Ek Musafir Ko Duniya Mein" lyrics from Door Ki Awaaz sung by mohammed rafi and music directed by ravi shankar sharma (ravi) and composed by ravi shankar sharma (ravi) and lyrics written by shakeel badayuni

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Ek Musafir Ko Duniya Mein Lyrics


Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Baith jau

Koi baitha koi leta
Magar kadhe hum
Yeh kaisi khudgarzi
Yeh kaisa hai sitam

Koi baitha koi leta
Magar kadhe hum
Yeh kaisi khudgarzi
Yeh kaisa hai sitam

Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Saath milkar humne baithna chahiye

Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Baith jau

Woh mote lala tune
Kiya hai kaisa chal
Ticket tera single
Magar to double

Woh mote lala tune
Kiya hai kaisa chal
Ticket tera single
Magar to double

Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Aise body phir mein phir bhi bada chahiye

Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Baith jau

O nakli dadhi wale tu gussa mat kar
Hume bhi jagah dede khuda se zara dar
O nakli dadhi wale tu gussa mat kar
Hume bhi jagah dede khuda se zara dar

Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare

Tera phota na pura pata chahiye

Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Baith jau

Hum per phi zara kar do
Inayat ki nazar
Khushi se kat jaaye humara bhi safar

Hum per phi zara kar do
Inayat ki nazar
Khushi se kat jaaye humara bhi safar

Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Khisak zara pyaare
Saarak zara pyaare
Yun kisika na dil todna chahiye

Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye
Ek musafir ko duniya mein kya chahiye
Sirf thodi si dil mein jagah chahiye

Mene kaha baith jau.

More songs lyrics from Door Ki Awaaz.